MG Gloster, ek nayi D2-segment SUV hai, jiski 7 person ki seating capacity hai. Iski ex-showroom price Rs.38.80 Lakh – Rs.43.87 Lakh tak hai.
Engine & Transmission
MG Gloster 2-type ke engine & transmission combination me aati hai:
# | Engine Options | Transmission Type | Cylinders | Power | Torque |
---|---|---|---|---|---|
1 | 2.0L Turbo Diesel (1996cc) | 8-Speed TC | 4 | 161PS @ 4000rpm | 374Nm @ 2400rpm |
2 | 2.0L Turbo Diesel (1996cc) | 8-Speed TC | 4 | 216PS @ 4000rpm | 479Nm @ 2400rpm |
Pricing
MG Gloster ki pricing depend karti hai sirf 2 cheezon pe: (1) Seats; (2) Features
# | Engine | Transmission | Starting Price | Top Model Price |
---|---|---|---|---|
1 | 2.0L Turbo Diesel | Automatic | ₹38.80 lakh* | ₹41.05 lakh* |
2 | 2.0L Turbo Diesel | Automatic | ₹43.16 lakh* | ₹43.87 lakh* |
Dimension & Space
MG Gloster ek 4.9+ meter car hai, iske dimensions niche mentioned hai. Gloster ka wheelbase 2950mm long hai jiski wajah se ye car high speeds pe zyaada stable hai & backseats pe achha leg-room bhi provide karti hai.
# | Dimensions | Size |
---|---|---|
1 | Length | 4985 (in mm) |
2 | Width | 1926 (in mm) |
3 | Height | 1867 (in mm) |
4 | Wheelbase | 2950 (in mm) |
5 | Boot Space | 343 Litres |
6 | Ground Clearance | 210 (in mm) |
7 | Fuel Tank | 75 Litres |
Engine: 1996 cc | Transmission: Automatic | Car Type: SUV |
Fuel Type: Diesel | Mileage: 12.04 – 13.92 kmpl | Seating Capacity: 7 |
Kya MG Gloster lena aapke liye acha hai ya nhi?
Niche MG Gloster ke positive & negatives ki list hai. Jisko dekh ke aap ko decide karne me help milegi ki aapko ye leni chahiye ya nahi.
Positives:
- Advanced Features: Gloster mein advanced features jaise ki AI-based personal assistant, large touchscreen, panoramic sunroof, wireless charging, aur apple car play and android auto connected car technology shaamil hain, jo premium experience provide karte hain.
- Safety: Ismein multiple airbags, adaptive cruise control, 360-degree camer, aur automatic emergency brakin, lane departure aur blind spot detection jaise safety features hain, jo occupants ki suraksha ko badhate hain.
- Powerful Engine Options: Gloster m 2L turbocharged diesel engine hai jo powerful power performance deta hai off-road driving aur city dono jagah.
Negatives:
- High Price: Gloster ke variants ki price competitive aur compatible nahi hai aur dusri SUVs ke comparison mein thodi jyada hai.
- Fuel Efficiency: Kuch users ko lagta hai ki Gloster ke fuel efficiency thoda kam hai, especially powerful engine ki wajah se daily basis par economical issues hote hai.
- Large Size: Gloster ke large size ke wajah se kayi baar tight spaces, city streets aur market mai chalana thoda zyada mushkil ho skta hai.
- Service Network: MG ki service network abhi tak kuch areas mein limited hai, jisse after-sales support mein thodi dikkat ho sakti hai.
Common Questions
- MG Gloster top model price: Ex-showroom price – ₹43.87 lakh*
- MG Gloster ground clearance: 210mm
- MG Astor mileage: 12.04 – 13.92 kmpl
- Safety rating of MG Gloster? 5 Stars